Literary Colour Swatches
Dhoop ki nazar se chupti ye galiyaan
khushiyon se nazarein churati ye galiyan
benamon ki kilkariyon se goonjti ye galiyan
gumnamon ki cheekhein dabati ye galiyan
In galiyon mein roz kai naqab utarte hain
yahan har din naye raaz janam lete hain
Ye galiyaan ashiyana hai mera
ye ashiyana maano meri taqdeer
taqdeer jo har roz thoda aur zakhmee karti hai
zakhm jo ab roz thoda zyada bharte hain
yahan majboori hai manzoori dene ki
apni marzi se marz lene ki
khel khelne ke liye taiyaar rehne ki aur
khud ek khilona banne ki
Log kehte hain vyapaar mein grahakon se rishtey nahi banaye jaate
par yahan aksar rishteydaar bhi grahak banke aya karte hain
Yahan vakaalat hai meri na ko haan maan lene ki
Yahan ijazat hai bin ijaazat haath thaam lene ki
yahan rivaayat hai mujhpe boli lagane ki par mujhe to aadat hai muft mein nilaam hojane ki
Yahan to suraj ugta hai andheron mein dafnane ke liye
yahan beizzat hona padta hai baizzat jeene ke liye
badi muddaton se suni jaati hain mannatein yahan
kai baar marna padta hai hai sukoon se mar jaane ke liye